ATM/Debit Card Kaise Banwaye
Namaskar Doston! Swagat Karta hu aap sabhiko TechieRaj ke is blog post mein, jahan pe mein aapko bataunga ki kaise aap ATM Card online Apply kar sakte ho.
ATM/Debit Card apne paas rakhna aajke date mein bohot hin normal baat hai, wese har kisike paas ATM card aajki date par hoti hai aur ATM card humare bohot saari problems ko solve karti hai. Paisa nikaalna hoto bank jaaneki zaroorat nehi hai. ATM pakdo aur ATM both pe jao aur jitna paisa chahiye utna nikaal lo.
Wese toh Debit Card apply karne ka bohot sara tarika hai par is post mein, mein aapko bataunga ki kaise aap Paisa Bazar ke site se ATM/Debit Card online apply kar sakte hai.
Toh Doston Chaliye Shuru Karte Hai!
Sabse pehele aapko Yaha Click Karna hai Uske baad niche diye gaye instruction ko follow kijiyega.
Step 1
Upar diye gaye link pe click karne ke baad aapko niche dikhaye gaye page show karega jahan pe aapko apna personal details bharna hoga. Sabse pehele box pe aapko aapka city bharna hoga, durse box pe apko 3 option dikhaai dega jahan pe aapko aapke kaam ke anusaar option select karna hoga. Third box pe aapko aapke monthly income bharna hoga. 4th Box pe aapko aapka pura naam bharna hoga, 5th box pe aapko apna Date of date of birth bharna hoga. 6th box pe aapko apna email id bharna hoga. 7th box pe aapko apna mobile number bharna hoga aur uske baad mobile number ke box ke left side par aapko dikhaai de raha hoga Yes or No ka box, Yedi aapko jo mobile number diya hai woh number aapke adhaar card pe link hai toh Yes Box ko mark kare nehi toh No pe mark karde. uske baad aapko niche I authorized box pe click karna hoga aur Niche "UNLOCK BEST OFFERS" pe click karna hoga.
Step 2
Ab aapko is page par jobi bank ka debit card apply karna hai us bank ka ATM/Debit card ko search kijiye aur applly button pe click kijiyega.
Step 3
Toh finally aapka ATM/Debit card application submit ho chuka hai ab
aapko 48hrs rukna hoga, 48hrs ke andar aapko Paisa Bazaar ka executive se call aayega jo aapko kuch saval puchhega aur debit card aapke post office pe bhej diya jaayega. Yedi aapko 48hrs tak bhi koi call nehi aata hai toh aapko niche image pe dikhaye gaye tool free number pe call karke apna Reference number bata dena aapko guide kiya jayega.
Watch a Quick Tutorial About "How to Apply for New Atm/Debit Card Online"
Read Other Post:
0 Comments
■ Comment! If you have questions
■ Give your valuable feedback on our post
■ Please, do not abuse on comment